“DEMOCRATIC LEAGUE”

Har fard ki ankhen nam hain yahan,kya shahar,qasbon,kya gaon mein,
Is nangi dhoop mein tap rahe sab,aas mein thandi chhaon ke,
Sab khade hain is sakht zameen pe,chhaalay pade hain paon mein,
Sari nigahen tujh pe tiki,ummeed mein badlao ke!

Haalaat ke saath samjhauta na kar,mat chhod sab taqdeer par,
Is nizaam ko badal daal,ek naye nizaam ki taa’beer kar,
In sayasat’danon ki bhid mein,rang bhar ek tasveer par,
Phir us tasveer ko wajood de,”Democratic League” ki taa’meer kar!

Humwatnon ko nijaat dilaa,tu is manzar-e-bepanaahi se,
In firqa-paraston ka takht palat,tu ikhlaq-o-ikhlaas shahi se,
Ye mulk ke pehredaar jo hain,mulk ki aabroo bech rahe,
In sayaasi pannon pe nayi nazm likh,tu apne aamaal ki syaahi se!

Utar ja is dayeray mein,tu kar sakta hai,kar guzar,
Apne noor ka jahan par,chhod ja kuch aisa asar,
Khatam ho ye syaah raat,ho khushiyon ki nayi seher,
Ugaa ja ek aisa aftaab,chamakta rahe jo taa’umar!

Bohot hua ye zulm sehna,karde ab baghaawat shuru,
Sayaasat ke umadte samunder mein,utaarde ab kashti-e-nooh,
Ibteda to achchi ki toone,Democratic League ke tasawwur se,
Ab apne farz ki adayegi kar,phook ke us tasawwur mein rooh,
Ab apne farz ki adayegi kar,phook ke us tasawwur mein rooh……. 

Majboor…..

Majbooron ki majboori ko dekhta hoon majboor sa,
Majbooriyon ko sehne ki iss aadat se bhar’poor hoon…..
Majboor hoon!

Apni ankhon ke saamne kabhi,zulm hone nahi deta,
Zulm hone par ankhein,band karta zuroor hoon…..
Majboor hoon!

Iss jahaan ko main shayad,nasha karne nahi deta,
Par main khud be’nasha,hone ke nashe mein choor hoon…..
Majboor hoon!

Galiyon mein lut’ti hayaa,mujhse hifaazat ki aas mein hai,
Aur main yahaan insaani bhes mein,be’hayaayi ka dastoor hoon…..
Majboor hoon!

Chahta to hoon main bhi,habeebon ke beech hi rehna,
Raqeebon ke mohallay mein,magar bada mash’hoor hoon…..
Majboor hoon!

Kinaare par khada,khud ko dekh raha doobte hue,
Kinaare par to hoon zuroor,saahil se bohot door hoon…..
Majboor hoon!

Kash’makash hai ye,main apni majbooriyon se pareshan hoon?
Ya phir apni inhi majbooriyon pe bada magh’roor hoon??
Be’shaoor hoon,be’noor hoon…..kamzor hoon,majboor hoon!!

Meri Zindagi…..

Sansein ab bhi rawaan hain,
Dhadkanein lekin kahaan hain,
Main jagta raha,kisi mod pe so gayi……
Meri Zindagi!

Jaane kab,kahaan,mujhse kya gunaah ho gaya,
Dekhte hi dekhte har manzar sayaah ho gaya,
In andheron mein apna wajood kho gayi……
Meri Zindagi!

Hua karta tha kabhi,khushi ke railon mein shaamil,
Ek dum mein ho gaya phir,ghamon mein kamil,
Ashkon se chhalakta jaam ho gayi……
Meri Zindagi!

Log aaye,rishtey banaaye,aur tod gaye,
Crying or Very sad
Nakhoonon se khurach kar rooh ko,zakhmi chhod gaye,
Takleefon ki ladi,khud mein piro gayi……
Meri Zindagi!

Hansta tha jinke saath,wo mujhpe hansne lagey,
Tanzon ke shikanjey mein,jaane kyun kasne lagey,
In kehkahon ke beech,kahin chupke se ro gayi……
Meri Zindagi!

Kehta tha khud se,nahi ab aur junoon chahiye,
Mujhe apni zindagi mein,bas thoda sukoon chahiye,
Kisi sannaati qabr mein,khud ko bo gayi……
Meri Zindagi!

Socha iske baarey mein kuchh likh doon,kuchh qarz chuka doon,
Wehmi khushiyan daal doon thodi,Kuchh gham chupa loon,
Par is nazm ko apni nami se dho gayi……
Meri Zindagi!

Main jagta raha,kisi mod pe so gayi……
Meri Zindagi!

“EK NA-BEENA KI QALAM SE”

Chiraag mere bujh chukey,ki bairaag hoon main ab lekin,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon…

Dastaan-e-gham hai likhi,panno pe mere dil ke,
Aas bhi hai isey mitaadey,tu ek baar mujhe mil ke,
Teri mohabbat ki chaadar se,mayoosi chhek leta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon.

Viraaniyat ho zindagi mein,to shaitaaniyat aa hi jaati hai,
Aise mein buri baatein,zehniyat ko hilaati hain,
Khayaal-e-napaak teri jaanib,zehen se phek deta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon.

Hamdardi bhi jataatey hain,afsos bhi karte hain,
Meri haalat dekh kar,mere zakhmon ko bhartey hain,
Par is zaalim zamaane ki,rehem na ek leta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon.

Bujhe beena,bujhe armaan,tamannayen bhi bujh chuki,
Tere bina mere dil ki gehraiyan,jalan se sooj chuki,
Teri yaadon ki thandak se,inhe main sek leta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon.

Tera chehra bada masoom,adayen bhi qayamat thi,
Na dekhta kaash tujhko,ankhen jab salaamat thi,
Teri soorat ka,us ek nazar se,main aalekh deta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon,
Tujhe teri hi nazron se,sanam main dekh leta hoon…….
!

Junoon…..

Hai Junoon…..
Kuchh kar dikha’nay ka,
Jahaan par chhaa jaa’nay ka,
Jin kasautiyon se kaanp’ti hai duniya,
Un par khud ko aazma’nay ka!

Hai Junoon…..
Jinki taraf koi nigaah nahi karta,
Jin raahon se koi na guzarta,
Un raaston pe chal’nay ka,
Sang doosron ko chalaa’nay ka!

Hai Junoon…..
Khanay ko jo roti puraa nahi paa’tay,
Ghurbat se daaman chhudaa nahi paa’tay,
Aksar umr bhar muskura nahi paa’tay,
Un sab ko hansaa’nay ka!

Hai Junoon…..
Jo jagtay nahi,so bhi nahi paa’tay,
Apni laachaari mein bechaaray,ro bhio nahi paa’tay,
Unki aankhon mein nami laa’nay ka,
Sulaa’nay ka,kuchh khwaab dikhaa’nay ka!

Hai Junoon…..
Phoolon ko paalne ka,
Un mein ras daal’nay ka,
Phir unki maa’dakta se,
Bhaw’ron ko lubha’nay ka!

Hai Junoon…..
In junoon’on ki fehrist kjo,
Shayari ke lifaa’fay mein,
Nagh’mon mein sajaa’nay ka,
Lafzon mein gawaa’nay ka!

Hai Junoon???
Hai!!!Nahi….Tha!
Gawaa diya!!!!

Taare Zameen Par…..

Kaisi hai ye raat ki ab subah nahi hoti,
Door tak dikhti nahi,mad’dham si bhi jyoti,
Andhere mein doobe hain aj saare zameen par,
Dikhte hain kahin bhi nahi taare zameen par!

Fir’qon mein pehle khud’bakhud bant’te hain yahan log,
Phir tafar’qon ke naam pe kaat’te hain,kat’te hain yahan log,
Hain har taraf jahannum ke nazaare zameen par,
Aise mein bhala chamkenge kya taare zameen par!

Dikhta nahi koi jo mushkilein kare aasaan,
Is alam ko badalne ko koi aata nahi insaan,
Inki hain falak pe to kataarein haseen,par
Utarte nahi koi bhi kyun taare zameen par!

Dhokon ka,dagha’on ka,farebon ka hai bazaar,
Hota hai gunaahon bhari jebon se kaarobaar,
Betahasha hain badi ke idaare zameen par,
Aise mein zaroori hain kuchh taare zameen par!

Lagaanon ki laali jo ye duniya hai pehenti,
Sarfarosh ho gaye to isey rang denge basanti,
Layenge badlao ke ishaare zameen par,
Utrenge kisi roz to ye taare zameen par!!

Daastaan-e-Dastarkhwaan…..

Baithay hi thay ki katoray bhar chalay,
Bismillah kiya nahi,shuru’aat kar chalay,
Aisi hi na’khuloosiyon ki daastaan hoon main,
Kehne ko ek musalmaan ke ghar ka dastarkhwaan hoon main!

Khatay waqt thay gup’on mein mashghool par,
Kehtay thay ki thay tareeqa-e-rasool par,
Aisi sunnat’on ke janaazay ki daastaan hoon main,
Kehne ko ek musalmaan ke ghar ka dastarkhwaan hoon main!

Kaha jaata hai ye insaan bade saaf hain,
Mujhpe girayi gandagi phir inhe kaisay maaf hai,
Tapaktay shorbon mein sanee daastaan hoon main,
Kehne ko ek musalmaan ke ghar ka dastarkhwaan hoon main!

Ab to mujhe chhodd,taibalon par khatay hain ye log,
Ghar ke paseej’tay kon’on mein mujhe sukhaatay hain ye log,
Apni iss haalat se is qadar hairaan hoon main,
Ki ab kis mooh se kahoon ki ek dastarkhwaan hoon main!!!

Badaltay jahaan ke rang…..

Palak jhukaatay,palak utha’tay,badalta inka pyaar hai,

Husn ki hawa chali nahi ki chidd’tay dilon ke taar hain,

Khud ko mohabbat ke paighambar kehte hain ye log,

Aur dhokay,fareb ki khaslaton se daaman daagh’daar hai!

Kitna alag,kitna ghalat,kaisa ye yalghaar hai,

Har talwaar-e-mard par,zanaaniyat ki ek dhaar hai,

Iss tarah ke badlao ko taraqqi kehtay ho tum,

Meri nazar mein to ye,qayaamat ke aasaar hain!

Tah’zeeb ko jo gawaara na ho,wo sab be’shumaar hai,

Masjidon ke daron mein zang,deewaron mein daraar hai,

Raah se bhatkay huon ko to samjha logay tum,

Unka kya karogay jinka paisa parwardigaar hai!

Iss tarah ka badalta jahaan,insaaniyat ki haar hai,

Iske har badlao pe,mera astagh’faar hai,

Kehte ho mere mohsin,ki saare rang hain yahaan,

Sab rangon se mil kar hi magar,jann’ta andhkaar hai,

Sab rangon se mil kar hi magar,jann’ta andhkaar hai!!

Meri Zindagi…..

Sansein ab bhi rawaan hain,

Dhadkanein lekin kahaan hain,

Main jagta raha,kisi mod pe so gayi……

Meri Zindagi!

Jaane kab,kahaan,mujhse kya gunaah ho gaya,

Dekhte hi dekhte har manzar sayaah ho gaya,

In andheron mein apna wajood kho gayi……

Meri Zindagi!

Hua karta tha kabhi,khushi ke railon mein shaamil,

Ek dum mein ho gaya phir,ghamon mein kamil,

Ashkon se chhalakta jaam ho gayi……

Meri Zindagi!

Log aaye,rishtey banaaye,aur tod gaye,

Nakhoonon se khurach kar rooh ko,zakhmi chhod gaye,

Takleefon ki ladi,khud mein piro gayi……

Meri Zindagi!

Hansta tha jinke saath,wo mujhpe hansne lagey,

Tanzon ke shikanjey mein,jaane kyun kasne lagey,

In kehkahon ke beech,kahin chupke se ro gayi……

Meri Zindagi!

Kehta tha khud se,nahi ab aur junoon chahiye,

Mujhe apni zindagi mein,bas thoda sukoon chahiye,

Kisi sannaati qabr mein,khud ko bo gayi……

Meri Zindagi!

Socha iske baarey mein kuchh likh doon,kuchh qarz chuka doon,

Wehmi khushiyan daal doon thodi,Kuchh gham chupa loon,

Par is nazm ko apni nami se dho gayi……

Meri Zindagi!

Main jagta raha,kisi mod pe so gayi……

Meri Zindagi!!

Main badd,ye meri badee…..

Khaamiyon se rubaroo hone ka…

Main shauq-e-kufr apna gaya,

Nikla tha main chaand ko paane..

Chaand ke daag bas pa gaya!

Apni khoobiyon ka zakheera..

Kisi jazeere pe dafna gaya,

Waqt ki goli se mera zameer…

Imaan ka lahoo chhalka gaya!

Shikast mein fateh talaashne ka…

Fann bhi mujhme aa gaya,

Mujhe to apne dushman ka…

Andaaz-e-qatl bhi bhaa gaya!

Dekh ke apna muskaata aks…

Khyaal zehen mein aa gaya,

Shayad meri laachaari pe…

Aaina bhi muskaa gaya!

Laalach ki bhook mitaane ko…

Main chammach-e-haraam apna gaya,

Rizq khaata tha ab tak…

Ab rizq ki barkat kha gaya!

Mere badd ke sarai pe…

Pachhtaw ka megha chha gaya,

Bikhar gaya,wo toot gaya…

Sharm ke ashk barsaa gaya,

Phir sard fizaon mein uska…

Har qatra aise barf bana,

Hua uth khada kuchh iss tarah…

Ki toor-e-badd kehla gaya!!