Humein tumse mohabbat hai, ye sab ko pata hai…
Par tumko bataana hai, zara der lagegi……
Iz’har zubaan se to sab hi karte hain…
Par aankhon se bataana hai, zara der lagegi…..
Manzil tak ka safar lamba to nahin hai…
Par agar tanha bitaana ho, zara der lagegi…..
Ye haar jeet to hain jeevan ke do pehlu …
Par aaj haara hoon pehli baar aur khud ko samajhaana hai, zara der lagegi……!!